Wednesday, February 21, 2018

Ya Sub Tumhara Karam Hai Aaqa Full Lyrics - Hafiz Tahir Qadri Latest Naat

Koi saleeqa hai aarzoo ka, na bandagi meri bandagi hai Yeh sab tumhara karam hai Aaqa ke baat ab tak bani hui hai Kissi ka ehsan kyun uthaaye, kisi ko haalat kyun bataaye Tumhain se maange ge tum hi do ge, tumhare dar se hi luu lagi hai Ata kiya mujh ko darde-ulfat, kaha thi yeh pur khata ki qismat Mein iss karam ke kaha tha qabil, Huzoor ki banda parwari hai Shoor o fikro nazar ke daire, hadd ka inse barh na paaye Na choo saqe un balandiyon ko, jaha maqame Muhammadi hai Tajaliyon ke kafeel tum ho, murad tu ke khalil tum ho Khuda ki roshan dalil tum ho, yeh sab tumhari hi roshni hai Bashir kahiye nazir kahiye, unhe siraje munir kahiye Jo sar ba sar hai kalaam-e-Rabbi, woh mere Aaqa ki zindagi hai Aamal ki mere asas kya hai, baajuz nadamat ke paas kya hai Rahe salamat tumhari nisbat, mera to ek aasra yehi hai Hai Kaaba bhi marja-e-khalaiq, bohat numayan hai yeh haqaiq Magar jo maqsood-e-aashqi hai, Huzoor ke dar ki haazri hai Yehi hai khalid asas rehmat, yehi hai khalid bina-e-azmat Nabi ka irfan zindagi hai, Nabi ka irfan bandagi hai Yeh sab tumhara karam hai aaqa ke baat ab tak bani hui hai

No comments:

Post a Comment